Sunday 13 April 2014

Jab woqt paas aye mera...

Kab ankh band ho
Ki phir kabhi na khule.
Sans aye ki phir na aye
Us din ka intjaar hai mujhe,
Jindagi door aur maut
Kareeb nazar aye.

Khwahish na thi
Hamein samandaron ki
Ik bund mayassar kar
Teri pak rahmaton ki.

Hosh koya yun
Tere aagosh main phir
Deedar diya na
Kyun Alaah?

Tu gareeb nava
Phikra kar is rakibi ki
Ye dunia teri kab
Humdard fakiron ki.

E- parwar digar
Ye inayat kar mujh par
Mere maula mujhe de
Rahmat'e nazar.

Jab woqt paas aye mera
jholi main teri Inaayat ho.
Jami ban jaye khuda
Aur asman ...Alaah ho.!

No comments:

Post a Comment