Saturday 1 March 2014

Har pal.. Krishna..

Suraj ki kirno main
Sawan ke jhoolon main
Hansta hai wo khil kar
Bagia ke phoolon main

Sardi ki rato main
Patjhar ke patton main
Paya hai maine usko
Retile teelon main

Khilte hue bachpan main
Dhalte se yovan main
Dikhta hai wo bhujti
Barsaati ankho main

Yadon main, sanso main
Baton main, dhadkan main
Rahta hai krishna tu
Har pal mere...
prano main

No comments:

Post a Comment